Tuesday, February 19, 2008
Aaya hai phir khayal....
Aaya hai phir khayal....
Aaya hai phir khayaal mein mere us raat ka samaa Jis raat ko achanak hua apna samna Ek pal ko aap chaunke phir muskuraadiye Us pal mein chal pada tha sitaaron ka caarvan Meri nazar ne aapki nigah se kiya savaal kya ban sakega apni mohabbat ka aashiyan Aaya javaab ye ke mushkil to hai magar Mumkin hai hum sajaalen ek apna gulsitaan Lekin ye hum na samjhe ke duniya ki reet kya hai Yahaan log kabhi na honge mohabbat pe meherbaan Phir apna khwaab thoota daman se haat choota Badli ghamon ki chaaye or aap ho gayain paraye Jugnu woh apni chaahat ab to bani hai aakhir Ek guzra hua fasaana ek bhooli si dastaan.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment