Tuesday, February 19, 2008

jo keh na sake wo fasana yaad aata hai
guzra hua dilkash jamana yaad aata hai
jab husn se ishq takraya tha kabhi
ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai
dil se mohabbat ka ek tufaan uthe the
jab aankhon ka sapna sajana yaad aata hai
kasturi jaise din mehakte the
mere raaton ka gungunana yaad aata hai
aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula
hothon ka thar_tharana yaad aata hai
mera usko khidkiyo se dekhna
baar baar aur uska wo muskurana yaad aata hai
raaton ko tanha yaad mein kisiki...
dhuan udata ek deewana yaad aata hai

No comments: